kya dukh hai samundar ko bataa bhi nahin saktaa
— Waseem Barelvi
Kya dukh hai samundar ko bataa bhee nahin saktaa
Aansoo kee tarah aankh tak aa bhee nahin saktaa
Too chhoD raha hai to khataa is men tiree kya
Har shakhs miraa saath nibhaa bhee nahin saktaa
Pyaase rahe jaate hain zamaane ke savaalaat
Kis ke liye zinda hoon bataa bhee nahin saktaa
Ghar DhoonD rahe hain miraa raaton ke pujaaree
Main hoon ki charaaghon ko bujhaa bhee nahin saktaa
Vaise to ik aansoo hee bahaa kar mujhe le jaa.e
Aise koi toofaan hilaa bhee nahin saktaa
Kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta
Aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta
Tu chhoD raha hai to KHata is mein teri kya
Har shaKHs mera sath nibha bhi nahin sakta
Pyase rahe jate hain zamane ke sawalat
Kis ke liye zinda hun bata bhi nahin sakta
Ghar DhunD rahe hain mera raaton ke pujari
Main hun ki charaghon ko bujha bhi nahin sakta
Waise to ek aansu hi baha kar mujhe le jae
Aise koi tufan hila bhi nahin sakta