lahuu na ho to qalam tarjumaan nahin hota
— Waseem Barelvi
Lahoo na ho to qalam tarjumaan nahin hota
Hamaare daur men aansoo zabaan nahin hota
Jahaan rahegaa vaheen raushnee luTaa.egaa
Kisee charaagh kaa apna makaan nahin hota
Ye kis maqaam pe laa.ee hai meree tanhaa.ee
Ki mujh se aaj koi bad-gumaan nahin hota
Bas ik nigaah miree raah dekhtee hotee
Ye sara shahr miraa mezbaan nahin hota
Tiraa khayaal na hota to kaun samjhaataa
Zameen na ho to koi aasmaan nahin hota
Main us ko bhuul gaya hoon ye kaun maanegaa
Kisee charaagh ke bas men dhuaan nahin hota
'vaseem' sadiyon kee aankhon se dekhiye mujh ko
Vo lafz hoon jo kabhi daastaan nahin hota
Lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota
Hamare daur mein aansu zaban nahin hota
Jahan rahega wahin raushni luTaega
Kisi charagh ka apna makan nahin hota
Ye kis maqam pe lai hai meri tanhai
Ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota
Bas ek nigah meri rah dekhti hoti
Ye sara shahr mera mezban nahin hota
Tera KHayal na hota to kaun samjhata
Zamin na ho to koi aasman nahin hota
Main us ko bhul gaya hun ye kaun manega
Kisi charagh ke bas mein dhuan nahin hota
'wasim' sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko
Wo lafz hun jo kabhi dastan nahin hota