main aasmaan pe bahut der rah nahin saktaa

Waseem Barelvi

Main aasmaan pe bahut der rah nahin saktaa Magar ye baat zameen se to kah nahin saktaa Kisee ke chehre ko kab tak nigaah men rakkhoon Safar men ek hee manzar to rah nahin saktaa Ye aazmaane kee fursat tujhe kabhi mil jaa.e Main aankhon aankhon men kya baat kah nahin saktaa Sahaaraa lenaa hee paDtaa hai mujh ko Dariya kaa Main ek qatra hoon tanhaa to bah nahin saktaa Lagaa ke dekh le jo bhee hisaab aataa ho Mujhe ghaTaa ke wo gintee men rah nahin saktaa Ye chand lamhon kee be-ikhtiyaariyaan hain 'vaseem' Gunah se rishta bahut der rah nahin saktaa Main aasman pe bahut der rah nahin sakta Magar ye baat zamin se to kah nahin sakta Kisi ke chehre ko kab tak nigah mein rakkhun Safar mein ek hi manzar to rah nahin sakta Ye aazmane ki fursat tujhe kabhi mil jae Main aankhon aankhon mein kya baat kah nahin sakta Sahaara lena hi paDta hai mujh ko dariya ka Main ek qatra hun tanha to bah nahin sakta Laga ke dekh le jo bhi hisab aata ho Mujhe ghaTa ke wo ginti mein rah nahin sakta Ye chand lamhon ki be-iKHtiyariyan hain 'wasim' Gunah se rishta bahut der rah nahin sakta