main is umiid pe duubaa ki tuu bachaa legaa
— Waseem Barelvi
Main is umiid pe Duubaa ki too bachaa legaa
Ab is ke ba.ad miraa imtihaan kya legaa
Ye ek mela hai va.ada kisee se kya legaa
Dhalegaa din to har ik apna raasta legaa
Main bujh gaya to hamesha ko bujh hee jaa.oongaa
Koee charaagh nahin hoon ki phir jalaa legaa
Kaleja chaahiye dushman se dushmanee ke liye
Jo be-amal hai wo badla kisee se kya legaa
Main us kaa ho nahin saktaa bataa na denaa use
Lakeeren haath kee apnee wo sab jalaa legaa
Hazaar tod ke aa jaaon us se rishta 'vaseem'
Main jaantaa hoon wo jab chaahegaa bulaa legaa
Main is umid pe Duba ki tu bacha lega
Ab is ke baad mera imtihan kya lega
Ye ek mela hai wada kisi se kya lega
Dhalega din to har ek apna rasta lega
Main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaunga
Koi charagh nahin hun ki phir jala lega
Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be-amal hai wo badla kisi se kya lega
Main us ka ho nahin sakta bata na dena use
Lakiren hath ki apni wo sab jala lega
Hazar tod ke aa jaun us se rishta 'wasim'
Main jaanta hun wo jab chahega bula lega