main ye nahin kahtaa ki miraa sar na milegaa

Waseem Barelvi

Main ye nahin kahtaa ki miraa sar na milegaa Lekin miree aankhon men tujhe Dar na milegaa Sar par to biThaane ko hai tayyaar zamaana Lekin tire rehne ko yahaan ghar na milegaa Jaatee hai chalee jaa.e ye mai-khaane kee raunaq Kam-zarfon ke haathon men to saaghar na milegaa Duniyaa kee talab hai to qanaa.at hee na karnaa Qatre hee se khush ho to samundar na milegaa Main ye nahin kahta ki mera sar na milega Lekin meri aankhon mein tujhe Dar na milega Sar par to biThane ko hai tayyar zamana Lekin tere rehne ko yahan ghar na milega Jati hai chali jae ye mai-KHane ki raunaq Kam-zarfon ke hathon mein to saghar na milega Duniya ki talab hai to qanaat hi na karna Qatre hi se KHush ho to samundar na milega