milii havaaon men udne ki wo sazaa yaaro

Waseem Barelvi

Milee havaaon men uDne kee wo sazaa yaaro Ki main zameen ke rishton se kaT gaya yaaro Vo be-khayaal musaafir men raasta yaaro Kahaan tha bas men mire us ko roknaa yaaro Mire qalam pe zamaane kee gard aisi thee Ki apne baare men kuch bhee na likh sakaa yaaro Tamaam shahr hee jis kee talaash men gum tha Main us ke ghar kaa pata kis se poochhtaa yaaro Jo be-shumaar dilon kee nazar men rahtaa tha Vo apne bachchon ko ik ghar na de sakaa yaaro Janaab-e-'meer' kee khud-gharziyon ke sadqe men Miyaan 'vaseem' ke kahne ko kya bachaa yaaro Mili hawaon mein uDne ki wo saza yaro Ki main zamin ke rishton se kaT gaya yaro Wo be-KHayal musafir mein rasta yaro Kahan tha bas mein mere us ko rokna yaro Mere qalam pe zamane ki gard aisi thi Ki apne bare mein kuch bhi na likh saka yaro Tamam shahr hi jis ki talash mein gum tha Main us ke ghar ka pata kis se puchhta yaro Jo be-shumar dilon ki nazar mein rehta tha Wo apne bachchon ko ek ghar na de saka yaro Janab-e-'mir' ki KHud-gharziyon ke sadqe mein Miyan 'wasim' ke kahne ko kya bacha yaro