mohabbat naa samajh hotii hai samjhaanaa zaruurii hai
— Waseem Barelvi
Mohabbat naa-samajh hotee hai samjhaanaa zarooree hai
Jo dil men hai use aankhon se kahlaanaa zarooree hai
Usoolon par jahaan aanch aa.e Takraanaa zarooree hai
Jo zinda ho to phir zinda nazar aanaa zarooree hai
Na.ee umron kee khud-mukhtaariyon ko kaun samjhaa.e
Kahaan se bach ke chalnaa hai kahaan jaanaa zarooree hai
Thake-haare parinde jab basere ke liye lauTen
Saleeqa-mand shaakhon kaa lachak jaanaa zarooree hai
Bahut bebaak aankhon men ta'alluq Tik nahin paataa
Mohabbat men kashish rakhne ko sharmaanaa zarooree hai
Saleeqa hee nahin shaayad use mahsoos karne kaa
Jo kahtaa hai khuda hai to nazar aanaa zarooree hai
Mire honTon pe apnee pyaas rakh do aur phir socho
Ki is ke baa'd bhee dunya men kuch paanaa zarooree hai
Mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai
Jo dil mein hai use aankhon se kahlana zaruri hai
Usulon par jahan aanch aae Takrana zaruri hai
Jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaruri hai
Nai umron ki KHud-muKHtariyon ko kaun samjhae
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaruri hai
Thake-haare parinde jab basere ke liye lauTen
Saliqa-mand shaKHon ka lachak jaana zaruri hai
Bahut bebak aankhon mein ta'alluq Tik nahin pata
Mohabbat mein kashish rakhne ko sharmana zaruri hai
Saliqa hi nahin shayad use mahsus karne ka
Jo kahta hai KHuda hai to nazar aana zaruri hai
Mere honTon pe apni pyas rakh do aur phir socho
Ki is ke ba'd bhi duniya mein kuch pana zaruri hai