nahin ki apna zamaana bhi to nahin aayaa

Waseem Barelvi

Nahin ki apna zamaana bhee to nahin aayaa Hamen kisee se nibhaanaa bhee to nahin aayaa Jalaa ke rakh liyaa haathon ke saath daaman tak Tumhen charaagh bujhaanaa bhee to nahin aayaa Na.e makaan banaa.e to faaslon kee tarah Hamen ye shahr basaanaa bhee to nahin aayaa Vo poochhtaa tha miree aankh bheegne kaa sabab Mujhe bahaana banaanaa bhee to nahin aayaa 'vaseem' dekhnaa muD muD ke wo usee kee taraf Kisee ko chhoD ke jaanaa bhee to nahin aayaa Nahin ki apna zamana bhi to nahin aaya Hamein kisi se nibhana bhi to nahin aaya Jala ke rakh liya hathon ke sath daman tak Tumhein charagh bujhana bhi to nahin aaya Nae makan banae to faslon ki tarah Hamein ye shahr basana bhi to nahin aaya Wo puchhta tha meri aankh bhigne ka sabab Mujhe bahana banana bhi to nahin aaya 'wasim' dekhna muD muD ke wo usi ki taraf Kisi ko chhoD ke jaana bhi to nahin aaya