sirf teraa naam le kar rah gaya
— Waseem Barelvi
Sirf teraa naam le kar rah gaya
Aaj deevaana bahut kuch kah gaya
Kyaa miree taqdeer men manzil nahin
Faasla kyuun muskuraa kar rah gaya
Zindagee dunya men aisa ashk thee
Jo zaraa palkon pe Thahraa bah gaya
Aur kya tha us kee pursish kaa javaab
Apne hee aansoo chhupaa kar rah gaya
Us se poochh ai kaamyaab-e-zindagee
Jis kaa afsaana adhooraa rah gaya
Haa.e kya deevaangee thee ai 'vaseem'
Jo na kahnaa chaahiye tha kah gaya
Sirf tera nam le kar rah gaya
Aaj diwana bahut kuch kah gaya
Kya meri taqdir mein manzil nahin
Fasla kyun muskura kar rah gaya
Zindagi duniya mein aisa ashk thi
Jo zara palkon pe Thahra bah gaya
Aur kya tha us ki pursish ka jawab
Apne hi aansu chhupa kar rah gaya
Us se puchh ai kaamyab-e-zindagi
Jis ka afsana adhura rah gaya
Hae kya diwangi thi ai 'wasim'
Jo na kahna chahiye tha kah gaya