tahriir se varna mirii kya ho nahin saktaa

Waseem Barelvi

Tahreer se varna miree kya ho nahin saktaa Ik too hai jo lafzon men adaa ho nahin saktaa Aankhon men khayaalaat men saanson men basaa hai Chaahe bhee to mujh se wo judaa ho nahin saktaa Jiinaa hai to ye jabr bhee sahnaa hee paDegaa Qatra hoon samundar se khafaa ho nahin saktaa Gumraah kiye honge ka.ee phuul se jazbe Aise to koi raah-numaa ho nahin saktaa Qad meraa baDhaane kaa use kaam milaa hai Jo apne hee pairon pe khaDaa ho nahin saktaa Ai pyaar tire hisse men aayaa tiree qismat Vo dard jo chehron se adaa ho nahin saktaa Tahrir se warna meri kya ho nahin sakta Ek tu hai jo lafzon mein ada ho nahin sakta Aankhon mein KHayalat mein sanson mein basa hai Chahe bhi to mujh se wo juda ho nahin sakta Jina hai to ye jabr bhi sahna hi paDega Qatra hun samundar se KHafa ho nahin sakta Gumrah kiye honge kai phul se jazbe Aise to koi rah-numa ho nahin sakta Qad mera baDhane ka use kaam mila hai Jo apne hi pairon pe khaDa ho nahin sakta Ai pyar tere hisse mein aaya teri qismat Wo dard jo chehron se ada ho nahin sakta