tamaam umr bade sakht imtihaan men tha
— Waseem Barelvi
Tamaam umr baDe sakht imtihaan men tha
Vo faasla jo tire mere darmiyaan men tha
Paron men simTaa to Thokar men tha zamaane kee
UDaa to ek zamaana miree uDaan men tha
Usee pe ho gaya qurbaan do dilon kaa milaap
Vo jaa.edaad kaa jhagDaa jo khaandaan men tha
Tujhe ganvaa ke ka.ee baar ye khayaal aayaa
Tiree anaa hee men kuch tha na meree aan men tha
Tamam umr baDe saKHt imtihan mein tha
Wo fasla jo tere mere darmiyan mein tha
Paron mein simTa to Thokar mein tha zamane ki
UDa to ek zamana meri uDan mein tha
Usi pe ho gaya qurban do dilon ka milap
Wo jaedad ka jhagDa jo KHandan mein tha
Tujhe ganwa ke kai bar ye KHayal aaya
Teri ana hi mein kuch tha na meri aan mein tha