tumhaarii raah men mittii ke ghar nahin aate
— Waseem Barelvi
Tumhaaree raah men miTTee ke ghar nahin aate
Isee liye to tumhen ham nazar nahin aate
Mohabbaton ke dinon kee yahee kharaabee hai
Ye rooth jaa.en to phir lauT kar nahin aate
Jinhen saleeqa hai tahzeeb-e-gham samajhne kaa
Unheen ke rone men aansoo nazar nahin aate
Khushee kee aankh men aansoo kee bhee jagah rakhnaa
Bure zamaane kabhi poochh kar nahin aate
Bisaat-e-ishq pe baDhnaa kise nahin aataa
Ye aur baat ki bachne ke ghar nahin aate
'vaseem' zehn banaate hain to vahee akhbaar
Jo le ke ek bhee achchhee khabar nahin aate
Tumhaari rah mein miTTi ke ghar nahin aate
Isi liye to tumhein hum nazar nahin aate
Mohabbaton ke dinon ki yahi KHarabi hai
Ye ruTh jaen to phir lauT kar nahin aate
Jinhen saliqa hai tahzib-e-gham samajhne ka
Unhin ke rone mein aansu nazar nahin aate
KHushi ki aankh mein aansu ki bhi jagah rakhna
Bure zamane kabhi puchh kar nahin aate
Bisat-e-ishq pe baDhna kise nahin aata
Ye aur baat ki bachne ke ghar nahin aate
'wasim' zehn banate hain to wahi aKHbar
Jo le ke ek bhi achchhi KHabar nahin aate