udaasiyon men bhi raste nikaal letaa hai
— Waseem Barelvi
Udaasiyon men bhee raste nikaal letaa hai
Ajiib dil hai giroon to sambhaal letaa hai
Ye kaisaa shakhs hai kitnee hee achchhee baat kaho
Koee buraa.ee kaa pahloo nikaal letaa hai
Dhale to hotee hai kuch aur ehtiyaat kee umr
Ki bahte bahte ye Dariya uchhaal letaa hai
BaDe-baDon kee tarah-daariyaan nahin chalteen
Uruuj teree khabar jab zavaal letaa hai
Jab us ke jaam men ik buund tak nahin hotee
Vo meree pyaas ko phir bhee sambhaal letaa hai
Udasiyon mein bhi raste nikal leta hai
Ajib dil hai girun to sambhaal leta hai
Ye kaisa shaKHs hai kitni hi achchhi baat kaho
Koi burai ka pahlu nikal leta hai
Dhale to hoti hai kuch aur ehtiyat ki umr
Ki bahte bahte ye dariya uchhaal leta hai
BaDe-baDon ki tarah-dariyan nahin chaltin
Uruj teri KHabar jab zawal leta hai
Jab us ke jam mein ek bund tak nahin hoti
Wo meri pyas ko phir bhi sambhaal leta hai