wo mujh ko kya bataanaa chaahtaa hai
— Waseem Barelvi
Wo mujh ko kya bataanaa chaahtaa hai
Jo dunya se chhupaanaa chaahtaa hai
Mujhe dekho ki main us ko hee chaahoon
Jise sara zamaana chaahtaa hai
Qalam karnaa kahaan hai us kaa manshaa
Vo meraa sar jhukaanaa chaahtaa hai
Shikaayat kaa dhuaan aankhon se dil tak
Ta.alluq Toot jaanaa chaahtaa hai
Taqaaza waqt kaa kuch bhee ho ye dil
Vahee qissa puraanaa chaahtaa hai
Wo mujh ko kya batana chahta hai
Jo duniya se chhupana chahta hai
Mujhe dekho ki main us ko hi chahun
Jise sara zamana chahta hai
Qalam karna kahan hai us ka mansha
Wo mera sar jhukana chahta hai
Shikayat ka dhuan aankhon se dil tak
Talluq TuT jaana chahta hai
Taqaza waqt ka kuch bhi ho ye dil
Wahi qissa purana chahta hai