ye hai to sab ke liye ho ye zid hamaarii hai
— Waseem Barelvi
Ye hai to sab ke liye ho ye zid hamaaree hai
Is ek baat pe dunya se jang jaaree hai
UDaan vaalo uDaanon pe waqt bhaaree hai
Paron kee ab ke nahin hauslon kee baaree hai
Main qatra ho ke bhee toofaan se jang letaa hoon
Mujhe bachaanaa samundar kee zimmedaaree hai
Isee se jalte hain sahraa-e-aarzoo men charaagh
Ye tishnagee to mujhe zindagee se pyaaree hai
Koee bataa.e ye us ke ghuroor-e-bejaa ko
Vo jang main ne laDee hee nahin jo haaree hai
Har ek saans pe pahraa hai be-yaqeenee kaa
Ye zindagee to nahin maut kee savaaree hai
Duaa karo ki salaamat rahe miree himmat
Ye ik charaagh ka.ee aandhiyon pe bhaaree hai
Ye hai to sab ke liye ho ye zid hamari hai
Is ek baat pe duniya se jang jari hai
UDan walo uDanon pe waqt bhaari hai
Paron ki ab ke nahin hauslon ki bari hai
Main qatra ho ke bhi tufan se jang leta hun
Mujhe bachana samundar ki zimmedari hai
Isi se jalte hain sahra-e-arzu mein charagh
Ye tishnagi to mujhe zindagi se pyari hai
Koi batae ye us ke ghurur-e-beja ko
Wo jang main ne laDi hi nahin jo haari hai
Har ek sans pe pahra hai be-yaqini ka
Ye zindagi to nahin maut ki sawari hai
Dua karo ki salamat rahe meri himmat
Ye ek charagh kai aandhiyon pe bhaari hai