zaraa saa qatra kahiin aaj agar ubhartaa hai

Waseem Barelvi

Zaraa saa qatra kaheen aaj agar ubhartaa hai Samundaron hee ke lahje men baat kartaa hai Khulee chhaton ke diye kab ke bujh ga.e hote Koee to hai jo havaaon ke par katartaa hai Sharaafaton kee yahaan koi ahmiyat hee nahin Kisee kaa kuch na bigaaDo to kaun Dartaa hai Ye dekhnaa hai ki sahraa bhee hai samundar bhee Vo meree tishna-labee kis ke naam kartaa hai Tum aa ga.e ho to kuch chaandnee see baaten hon Zameen pe chaand kahaan roz roz utartaa hai Zameen kee kaisee vakaalat ho phir nahin chaltee Jab aasmaan se koi faisla utartaa hai Zara sa qatra kahin aaj agar ubharta hai Samundaron hi ke lahje mein baat karta hai Khuli chhaton ke diye kab ke bujh gae hote Koi to hai jo hawaon ke par katarta hai Sharafaton ki yahan koi ahmiyat hi nahin Kisi ka kuch na bigaDo to kaun Darta hai Ye dekhna hai ki sahra bhi hai samundar bhi Wo meri tishna-labi kis ke nam karta hai Tum aa gae ho to kuch chandni si baaten hon Zamin pe chand kahan roz roz utarta hai Zamin ki kaisi wakalat ho phir nahin chalti Jab aasman se koi faisla utarta hai