be zabaan kaliyon kaa dil mailaa kiyaa
— Wazir Agha
Be-zabaan kaliyon kaa dil mailaa kiyaa
Ai havaa-e-sub.h too ne kya kiyaa
Kee 'ataa har gul ko ik rangeen qabaa
Boo-e-gul ko shahr men rusvaa kiyaa
Kyaa tujhe wo sub.h-e-kaazib yaad hai
Raushnee se too ne jab parda kiyaa
Be-khayaalee men sitaare chun liye
Jagmagaatee raat ko andhaa kiyaa
Jaate jaate shaam yak-dam hans paDee
Ik sitaara der tak royaa kiyaa
RuuTh kar ghar se gaya too kitnee baar
Kyaa dar-o-deevaar ne peechhaa kiyaa
Apnee 'uryaanee chhupaane ke liye
Too ne saare shahr ko nangaa kiyaa
Be-zaban kaliyon ka dil maila kiya
Ai hawa-e-subh tu ne kya kiya
Ki 'ata har gul ko ek rangin qaba
Bu-e-gul ko shahr mein ruswa kiya
Kya tujhe wo subh-e-kazib yaad hai
Raushni se tu ne jab parda kiya
Be-KHayali mein sitare chun liye
Jagmagati raat ko andha kiya
Jate jate sham yak-dam hans paDi
Ek sitara der tak roya kiya
RuTh kar ghar se gaya tu kitni bar
Kya dar-o-diwar ne pichha kiya
Apni 'uryani chhupane ke liye
Tu ne sare shahr ko nanga kiya