chalo maanaa hamiin be kaarvaan hain
— Wazir Agha
Chalo maanaa hameen be-kaarvaan hain
Jo juzv-e-kaarvaan the wo kahaan hain
Na jaane kaun peechhe rah gaya hai
Manaazir ulTee jaanib ko ravaan hain
Zameen ke taal sab sookhe paDe hain
Parinde aasmaan-dar-aasmaan hain
Sunaa hai tishnagee bhee ik duaa hai
Labon par shabd jis ke par-fishaan hain
Khule sahraa men mat DhoonDo hamen tum
Sadaa se ham tumhaare darmiyaan hain
Chalo mana hamin be-karwan hain
Jo juzw-e-karwan the wo kahan hain
Na jaane kaun pichhe rah gaya hai
Manazir ulTi jaanib ko rawan hain
Zamin ke tal sab sukhe paDe hain
Parinde aasman-dar-asman hain
Suna hai tishnagi bhi ek dua hai
Labon par shabd jis ke par-fishan hain
Khule sahra mein mat DhunDo hamein tum
Sada se hum tumhaare darmiyan hain