dhoop ke saath gaya saath nibhaane vaalaa
— Wazir Agha
Dhoop ke saath gaya saath nibhaane vaalaa
Ab kahaan aa.egaa wo lauT ke aane vaalaa
Ret par chhoD gaya naqsh hazaaron apne
Kisee paagal kee tarah naqsh miTaane vaalaa
Sabz shaakhen kabhi aise to nahin cheekhtee hain
Kaun aayaa hai parindon ko Daraane vaalaa
Aariz-e-shaam kee surkhee ne kiyaa faash use
Parda-e-abr men thaa aag lagaane vaalaa
Safar-e-shab kaa taqaazaa hai mire saath raho
Dasht pur-haul hai toofaan hai aane vaalaa
Mujh ko dar-parda sunaataa raha qissa apna
Agle vaqton kee hikaayaat sunaane vaalaa
Shabnamee ghaas ghane phuul laraztee kirnen
Kaun aayaa hai khazaanon ko luTaane vaalaa
Ab to aaraam karen sochtee aankhen meree
Raat kaa aakhiree taaraa bhee hai jaane vaalaa
Dhup ke sath gaya sath nibhane wala
Ab kahan aaega wo lauT ke aane wala
Ret par chhoD gaya naqsh hazaron apne
Kisi pagal ki tarah naqsh miTane wala
Sabz shaKHen kabhi aise to nahin chiKHti hain
Kaun aaya hai parindon ko Darane wala
Aariz-e-sham ki surKHi ne kiya fash use
Parda-e-abr mein tha aag lagane wala
Safar-e-shab ka taqaza hai mere sath raho
Dasht pur-haul hai tufan hai aane wala
Mujh ko dar-parda sunata raha qissa apna
Agle waqton ki hikayat sunane wala
Shabnami ghas ghane phul larazti kirnen
Kaun aaya hai KHazanon ko luTane wala
Ab to aaram karen sochti aankhen meri
Raat ka aaKHiri tara bhi hai jaane wala