dukh maile aakaash kaa
— Wazir Agha
Dukh ke ruup hazaaron hain
Havaa bhee dukh aur aag bhee dukh hai
Main teraa too meraa dukh hai
Par ye maile aur gahre aakaash kaa dukh
Jo qatra qatra Tapak raha hai
Is dukh kaa koi ant nahin hai
Jab aakaash kaa dil dukhtaa hai
Bachche booDhe shajar hajar chiDiyaan aur kiiDe
Sab ke andar dukh ugtaa hai
Phir ye dukh aankhon ke raste
Gaalon par bahne lagtaa hai
Phir ThoDee ke panj-nad par sab dukhon ke dhaare aa milte hain
Aur shabnam saa mukh dhartee kaa
Khud ik dhaaraa ban jaataa hai
Sunaa yahee hai
Pahle bhee ik baar dukhee aakaash kee aankhen Tapak paDee thiin
Par dhartee kee aakhiree naav
Ziist ke bikhre TukDon ko chhaatee se lagaa.e
Paanee kee sarkash maujon se laDtee-bhiDtee
Duur ufuq tak jaa pahunchee thee
Aaj magar wo naav kaun se des ga.ee hai
Dukh maile aakaash kaa dukh
Ab chaaron jaanib umaD paDaa hai
Qatra qatra Tapak raha hai
Dukh ke rup hazaron hain
Hawa bhi dukh aur aag bhi dukh hai
Main tera tu mera dukh hai
Par ye maile aur gahre aakash ka dukh
Jo qatra qatra Tapak raha hai
Is dukh ka koi ant nahin hai
Jab aakash ka dil dukhta hai
Bachche buDhe shajar hajar chiDiyan aur kiDe
Sab ke andar dukh ugta hai
Phir ye dukh aankhon ke raste
Galon par bahne lagta hai
Phir ThoDi ke panj-nad par sab dukhon ke dhaare aa milte hain
Aur shabnam sa mukh dharti ka
KHud ek dhaara ban jata hai
Suna yahi hai
Pahle bhi ek bar dukhi aakash ki aankhen Tapak paDi thin
Par dharti ki aaKHiri naw
Zist ke bikhre TukDon ko chhati se lagae
Pani ki sarkash maujon se laDti-bhiDti
Dur ufuq tak ja pahunchi thi
Aaj magar wo naw kaun se des gai hai
Dukh maile aakash ka dukh
Ab chaaron jaanib umaD paDa hai
Qatra qatra Tapak raha hai