gul ne khushbuu ko taj diyaa na raha
— Wazir Agha
Gul ne khushboo ko taj diyaa na raha
Khud se khud ko kiyaa judaa na raha
Raat dekhe safar ke khvaab bahut
Pau phaTee jab to hausla na raha
Qaafila us ke dam-qadam se thaa
Chal diyaa wo to qaafila na raha
Rabt us kaa zamaan se kya rahtaa
Jab zameen hee se silsila na raha
Tark kar khaamushee kaa maslak sun
Ho gaya jo bhee be-sadaa na raha
Umr bhar us ne bevafaa.ee kee
Umr se bhee wo baa-wafa na raha
Aankh kholee to dooriyaan thiin bahut
Aankh meechee to faasla na raha
Kis kee khushboo ne bhar diyaa thaa use
Us ke andar koi khalaa na raha
Gul ne KHushbu ko taj diya na raha
KHud se KHud ko kiya juda na raha
Raat dekhe safar ke KHwab bahut
Pau phaTi jab to hausla na raha
Qafila us ke dam-qadam se tha
Chal diya wo to qafila na raha
Rabt us ka zaman se kya rehta
Jab zamin hi se silsila na raha
Tark kar KHamushi ka maslak sun
Ho gaya jo bhi be-sada na raha
Umr bhar us ne bewafai ki
Umr se bhi wo ba-wafa na raha
Aankh kholi to duriyan thin bahut
Aankh michi to fasla na raha
Kis ki KHushbu ne bhar diya tha use
Us ke andar koi KHala na raha