haadsa be awaaz the aansuu is ke
— Wazir Agha
Be-awaaz the aansoo is ke
ChhoTe chhoTe pair the us ke
Tan jaise ruuee kaa gaalaa
Rang tha kaalaa
Nadee kinaare tak pairon ke
Saare nishaan salaamat the
Paar nadee ke kuch bhee nahin tha
Paar nadee ke kuch bhee nahin hai
Saaree raahen nadiyaa ke andar jaatee hain
Aur phir vaheen kee ho jaatee hain
ChhoTe chhoTe pair barahna ret ke uupar phuul khilaa kar
Nadee kinaare tak jaate hain
Aur phir paar kahaan jaate hain
Har bachche ko
UDtee titlee sargoshee men batlaatee hai
Maan teree nadiyaa ke andar
Duudh kaa ik mashkeeza le kar
Teraa rasta dekh rahi hai
Kaun bataa.e un bachchon ko
Maan nadiyaa ke andar kab hai
Maan too khud ik tez nadee hai
Maan ik doodh-bharee naddee hai
Be-awaz the aansu is ke
ChhoTe chhoTe pair the us ke
Tan jaise rui ka gala
Rang tha kala
Nadi kinare tak pairon ke
Sare nishan salamat the
Par nadi ke kuch bhi nahin tha
Par nadi ke kuch bhi nahin hai
Sari rahen nadiya ke andar jati hain
Aur phir wahin ki ho jati hain
ChhoTe chhoTe pair barahna ret ke upar phul khila kar
Nadi kinare tak jate hain
Aur phir par kahan jate hain
Har bachche ko
UDti titli sargoshi mein batlati hai
Man teri nadiya ke andar
Dudh ka ek mashkiza le kar
Tera rasta dekh rahi hai
Kaun batae un bachchon ko
Man nadiya ke andar kab hai
Man tu KHud ek tez nadi hai
Man ek dudh-bhari naddi hai