havaa kahtii rahii aao havaa kahtii rahii aao

Wazir Agha

Havaa kahtee rahi aao Chalo us shaakh ko chhoo len Idhar us peD ke patton men chhup kar taaliyaan peeTen Giren uThen luDhak kar nahr men utren nahaa.en Makhmaleen sabze ye nange paanv chal kar duur tak jaa.en Havaa kahtee rahi aao Magar main khushk chhaagal apne daanton men dabaa.e Pyaas kee barham sipah se laD raha thaa main kahaan jaataa Mujhe sooraj ke rath se aatisheen teeron kaa aanaa Aur chhaagal se humak kar aab kaa girnaa Kisee bachche kaa ronaa aur paanee maangnaa bhoolaa nahin thaa main kahaan jaataa Main apne haath kee ubhree ragon men qaid Apnee aankh kee taptee huee khaak-e-siyah men jazb thaa yaksar Mujhe ik jur.a-e-aab safaa darkaar thaa aur mere bachche ne Sadaa dee thee mujhe aao khudaaraa ab to aa jaao Ki mere honT ab phaT bhee chuke Aankhon kaa amrit suukh kar baadal banaa uD bhee gaya Havaa kahtee rahi aao Ye bandhan toD do pyaare Magar men haath kee ubhree ragon men qaid Apnee aankh kee taptee huee khaak-e-siyah men jazb kya kartaa Kahaan jaataa Hawa kahti rahi aao Chalo us shaKH ko chhu len Idhar us peD ke patton mein chhup kar taliyan piTen Giren uThen luDhak kar nahr mein utren nahaen MaKHmalin sabze ye nange panw chal kar dur tak jaen Hawa kahti rahi aao Magar main KHushk chhagal apne danton mein dabae Pyas ki barham sipah se laD raha tha main kahan jata Mujhe suraj ke rath se aatishin tiron ka aana Aur chhagal se humak kar aab ka girna Kisi bachche ka rona aur pani mangna bhula nahin tha main kahan jata Main apne hath ki ubhri ragon mein qaid Apni aankh ki tapti hui KHak-e-siyah mein jazb tha yaksar Mujhe ek jura-e-ab safa darkar tha aur mere bachche ne Sada di thi mujhe aao KHudara ab to aa jao Ki mere honT ab phaT bhi chuke Aankhon ka amrit sukh kar baadal bana uD bhi gaya Hawa kahti rahi aao Ye bandhan toD do pyare Magar mein hath ki ubhri ragon mein qaid Apni aankh ki tapti hui KHak-e-siyah mein jazb kya karta Kahan jata