ik be ant vajuud ik be ant vajuud hai is kaa

Wazir Agha

Ik be-ant vajood hai is kaa Gahre kaale makhmal aisa Jis par laakhon arbon aankhen Naqsh huee hain In aankhon men Main ik aisi aankh hoon Jis ne Ek hee pal men Saaraa manzar Aur manzar ke peechhe kaa sab khaalee manzar Dekh liyaa hai Taknaa is ne siikh liyaa hai Par wo gahraa kaalaa makhmal Us ko is se gharaz nahin hai Kaun see aankh ko beenaa.ee kaa daan milaa hai Kyaa is kaa anjaam huaa hai Ek be-ant wajud hai is ka Gahre kale maKHmal aisa Jis par lakhon arbon aankhen Naqsh hui hain In aankhon mein Main ek aisi aankh hun Jis ne Ek hi pal mein Sara manzar Aur manzar ke pichhe ka sab KHali manzar Dekh liya hai Takna is ne sikh liya hai Par wo gahra kala maKHmal Us ko is se gharaz nahin hai Kaun si aankh ko binai ka dan mila hai Kya is ka anjam hua hai