jabiin e sang pe likkhaa miraa fasaana gaya

Wazir Agha

Jabeen-e-sang pe likkhaa miraa fasaana gaya Main rahguzar thaa mujhe raund kar zamaana gaya Naqaab oDh ke aa.e the raat ke qazzaaq Pighaltee shaam se sab dhoop kaa khazaana gaya Kise khabar wo ravaana bhee ho sakaa ki nahin Tumhaare shahr se jab us kaa aab-o-daana gaya Vo chal diyaa to nigaahon se ki dilon se ghuroor Labon se zahr havaaon se taaziyaana gaya Ye jaantaa hoon ki too ne liyaa thaa rok use Magar wo aatisheen aansoo mujhe jalaa na gaya Main ek Doltaa saagar mujhe uThaataa kaun GhaTaa uThaa ke chalee thee magar chalaa na gaya Kahaan gaya main bichhaD kar kise khabar hogee Jo ek baar yahaan se huaa ravaana gaya Jabin-e-sang pe likkha mera fasana gaya Main rahguzar tha mujhe raund kar zamana gaya Naqab oDh ke aae the raat ke qazzaq Pighalti sham se sab dhup ka KHazana gaya Kise KHabar wo rawana bhi ho saka ki nahin Tumhaare shahr se jab us ka aab-o-dana gaya Wo chal diya to nigahon se ki dilon se ghurur Labon se zahr hawaon se taziyana gaya Ye jaanta hun ki tu ne liya tha rok use Magar wo aatishin aansu mujhe jala na gaya Main ek Dolta sagar mujhe uThata kaun GhaTa uTha ke chali thi magar chala na gaya Kahan gaya main bichhaD kar kise KHabar hogi Jo ek bar yahan se hua rawana gaya