karaan taa karaan
— Wazir Agha
Jo maza chaahat men hai
Haasil men us ko DhoonDhnaa be-kaar hai
Ho kahaan tum kis jahaan men
Kyuun mujhe ma.aloom ho?
Dhund men ho khvaab men
Yaa aasmaan kee qaus men
Yaa mauj kee gardish men ho
Tum haath kee rekhaa ke andar ho kaheen
Yaa duur sannaaTon ke Takraav se paidaa
An-sunee awaaz kee rezish men ho
Chaahe kaheen bhee ho
Miree chaahat ke phaile baazuon ke
Halqa-e-mauhoom men maujood ho!
Lams men hiddat bahut hai
Aur sitaaron kee chubhan kaa bhee mujhe ehsaas hai
Band muTThee men dabe motee
Kee lazzat se bhee hoon main aashnaa
Par bayaan kaise karoon
Vo lutf jo chaahat kee phailee boss kee
Mad.hosh-kun ThanDak men hai
Chaahat ke har dam
Phailte aafaaq kee larzish men hai!!
Jo maza chahat mein hai
Hasil mein us ko DhunDhna be-kar hai
Ho kahan tum kis jahan mein
Kyun mujhe malum ho?
Dhund mein ho KHwab mein
Ya aasman ki qaus mein
Ya mauj ki gardish mein ho
Tum hath ki rekha ke andar ho kahin
Ya dur sannaTon ke Takraw se paida
An-suni aawaz ki rezish mein ho
Chahe kahin bhi ho
Meri chahat ke phaile bazuon ke
Halqa-e-mauhum mein maujud ho!
Lams mein hiddat bahut hai
Aur sitaron ki chubhan ka bhi mujhe ehsas hai
Band muTThi mein dabe moti
Ki lazzat se bhi hun main aashna
Par bayan kaise karun
Wo lutf jo chahat ki phaili boss ki
Madhosh-kun ThanDak mein hai
Chahat ke har dam
Phailte aafaq ki larzish mein hai!!