khud se huaa judaa to milaa martaba tujhe
— Wazir Agha
Khud se huaa judaa to milaa martaba tujhe
Aazaad ho ke mujh se magar kya milaa tujhe
Ik lahza apnee aankh men too jhaank le agar
Aa.uun nazar men bikhraa huaa jaa-ba-jaa tujhe
Thaa mujh ko teraa phenkaa huaa phuul hee bahut
Lafzon kaa ehtimaam bhee karnaa paDaa tujhe
Ye aur baat main ne sadaa.en hazaar diin
Aa.ee na dasht-e-haul se ik bhee sadaa tujhe
Too ne bhee khud ko markaz-e-aalam samajh liyaa
Lag hee ga.ee zamaane kee aakhir havaa tujhe
Kyaa qahr hai ki rangon ke is izhdihaam men
Juz rang-e-zard aur na Kuch bhee milaa tujhe
Nazron ne taar taar kiyaa aasmaan tamaam
Aa.ee na raas taaron bharee ye ridaa tujhe
Daa.im rahe safar men tiraa naaqa-e-khayaal
Detaa rahoon main roz yahee bad-duaa tujhe
Kahne ko chand gaam thaa ye arsa-e-hayaat
Lekin tamaam umr hee chalnaa paDaa tujhe
KHud se hua juda to mila martaba tujhe
Aazad ho ke mujh se magar kya mila tujhe
Ek lahza apni aankh mein tu jhank le agar
Aaun nazar mein bikhra hua ja-ba-ja tujhe
Tha mujh ko tera phenka hua phul hi bahut
Lafzon ka ehtimam bhi karna paDa tujhe
Ye aur baat main ne sadaen hazar din
Aai na dasht-e-haul se ek bhi sada tujhe
Tu ne bhi KHud ko markaz-e-alam samajh liya
Lag hi gai zamane ki aaKHir hawa tujhe
Kya qahr hai ki rangon ke is izhdiham mein
Juz rang-e-zard aur na Kuch bhi mila tujhe
Nazron ne tar tar kiya aasman tamam
Aai na ras taron bhari ye rida tujhe
Daim rahe safar mein tera naqa-e-KHayal
Deta rahun main roz yahi bad-dua tujhe
Kahne ko chand gam tha ye arsa-e-hayat
Lekin tamam umr hi chalna paDa tujhe