laazim kahaan ki sara jahaan khush libaas ho
— Wazir Agha
Laazim kahaan ki sara jahaan khush-libaas ho
Mailaa badan pahan ke na itnaa udaas ho
Itnaa na paas aa ki tujhe DhoonDte phiren
Itnaa na duur jaa ke hama-vaqt paas ho
Ik joo-e-be-qaraar ho kyuun dil-kashee tiree
Kyuun itnee tishna-lab miree aankhon kee pyaas ho
Pahnaa de chaandnee ko qabaa apne jism kee
Us kaa badan bhee teree tarah be-libaas ho
Aa.e wo din ki kisht-e-falak ho haree-bharee
Banjar zameen pe meelon talak sabz ghaas ho
Lazim kahan ki sara jahan KHush-libas ho
Maila badan pahan ke na itna udas ho
Itna na pas aa ki tujhe DhunDte phiren
Itna na dur ja ke hama-waqt pas ho
Ek ju-e-be-qarar ho kyun dil-kashi teri
Kyun itni tishna-lab meri aankhon ki pyas ho
Pahna de chandni ko qaba apne jism ki
Us ka badan bhi teri tarah be-libas ho
Aae wo din ki kisht-e-falak ho hari-bhari
Banjar zamin pe milon talak sabz ghas ho