na aankhen hi jhapaktaa hai na koi baat kartaa hai

Wazir Agha

Na aankhen hee jhapaktaa hai na koi baat kartaa hai Bas ik aansoo ke daane par basar-auqaat kartaa hai Shajar ke tan men gahraa zakhm hai koi vagarna yuun Zameen par sabz patton kee koi barsaat kartaa hai Vo jab chaahe bujhaa deta hai sham.en bhee sitaare bhee Nagar sara supurd-e-panja-e-zulmaat kartaa hai Vo apnee baat se sad-chaak kartaa hai miraa siina Phir apnee baat kee taa-der taaveelaat kartaa hai Vo apnee umr ko pahle piro letaa hai Doree men Phir us ke ba.ad gintee umr kee din raat kartaa hai Na aankhen hi jhapakta hai na koi baat karta hai Bas ek aansu ke dane par basar-auqat karta hai Shajar ke tan mein gahra zaKHm hai koi wagarna yun Zamin par sabz patton ki koi barsat karta hai Wo jab chahe bujha deta hai shamen bhi sitare bhi Nagar sara supurd-e-panja-e-zulmat karta hai Wo apni baat se sad-chaak karta hai mera sina Phir apni baat ki ta-der tawilat karta hai Wo apni umr ko pahle piro leta hai Dori mein Phir us ke baad ginti umr ki din raat karta hai