nashr gaah faqat apne hone kaa elaan main ne kiyaa
— Wazir Agha
Faqat apne hone kaa elaan main ne kiyaa
Par na sochaa
Kahaan se chalaa thaa kahaan aa ke Thahraa
Main kis manzil-e-be-nishaan kee taraf ab ravaan hoon
Mujhe khushk bad-rang chamDe pe likkhe savaalon se raghbat
Naheen thee
Main mantiq kee varzish se khud ko thakaanaa nahin chaahtaa thaa
Faqat apne hone kaa elaan main ne kiyaa
Aur dekhaa
Falak kee siyah gahree sookhee huee baa.ulee se
KaroDon sitaare
Shuaaon kee be-samt be-lafz goongee zabaan men
Larazte labon se
Na hone ke munkir the
Hone kaa elaan karte chale jaa rahe the
Faqat apne hone kaa elaan main ne kiyaa
Aur betaab phoolon se saavan ke jhoolon se
ChiDiyon ke loree se
Har zinda hastee ke saanson kee Doree se
Aavaaz aa.ee
Mujhe apne hone kaa haqq-ul-yaqeen hai
Main elaan kartee hoon apna
Ajab silsila thaa
KaroDon baras kee masaafat pe phailaa huaa sara aalam
Sadaaon kee lahron kee ik cheekhtee nashr-gah ban chukaa thaa
Faqat apne hone kaa elaan kartaa chalaa jaa raha thaa
Ye elaan kis ke liye thaa
Tujhe kya khabar hai
Too is nashr-gah kaa faqat ek adnaa mulaazim
Too Kuch bhee nahin jaantaa hai
Faqat apne hone ka elan main ne kiya
Par na socha
Kahan se chala tha kahan aa ke Thahra
Main kis manzil-e-be-nishan ki taraf ab rawan hun
Mujhe KHushk bad-rang chamDe pe likkhe sawalon se raghbat
Nahin thi
Main mantiq ki warzish se KHud ko thakana nahin chahta tha
Faqat apne hone ka elan main ne kiya
Aur dekha
Falak ki siyah gahri sukhi hui bauli se
KaroDon sitare
Shuaon ki be-samt be-lafz gungi zaban mein
Larazte labon se
Na hone ke munkir the
Hone ka elan karte chale ja rahe the
Faqat apne hone ka elan main ne kiya
Aur betab phulon se sawan ke jhulon se
ChiDiyon ke lori se
Har zinda hasti ke sanson ki Dori se
Aawaz aai
Mujhe apne hone ka haqq-ul-yaqin hai
Main elan karti hun apna
Ajab silsila tha
KaroDon baras ki masafat pe phaila hua sara aalam
Sadaon ki lahron ki ek chiKHti nashr-gah ban chuka tha
Faqat apne hone ka elan karta chala ja raha tha
Ye elan kis ke liye tha
Tujhe kya KHabar hai
Tu is nashr-gah ka faqat ek adna mulazim
Tu Kuch bhi nahin jaanta hai