nirvaan
— Wazir Agha
Miree saans kaa silsila
Aise TuuTe ki ik mast jhonke ke maanind girtee luDhaktee huee umr meree
Haree laanbee makhmal see khushboo bharee ghaas men
Apne nange badan ko utaare
Na aansoo giraa.e na daaman pasaare
Faqat haath ke al-vidaa.ee ishaare se
Apne ta.aaqub men aate parindon ko rukhsat kare
Aur khud ghaas kee jhiil men Doob jaa.e
Miree saans kaa silsila
Yuun na TuuTe ki ik tund jhonke ke maanind uDtee huee umr meree
Kisee band ujDe hue shahr men daf.atan khud ko paa.e
Bhayaanak khamoshee kaa ik Doltaa qahqaha
Us kee rag rag men utre to wo baukhlaa.e
Qataaron men leTee huee murda galiyon men bhaTke
Makaanon men utre munDeron pe aa.e
Siyah chhoTee eenTon kee farsooda deevaar ko apnee poron se chhoo kar
Koee dar DhoonDe koi raah maange
Achaanak kisee sard khambe kee be-noor aankhon se jhaanke
BaDe karb se giDgiDaa.e
Khudaaraa koi mujh ko baahar nikalne kaa rasta bataa.e
Khudaaraa koi mujh ko baahar nikalne kaa rasta bataa.e
Meri sans ka silsila
Aise TuTe ki ek mast jhonke ke manind girti luDhakti hui umr meri
Hari lanbi maKHmal si KHushbu bhari ghas mein
Apne nange badan ko utare
Na aansu girae na daman pasare
Faqat hath ke al-widai ishaare se
Apne taaqub mein aate parindon ko ruKHsat kare
Aur KHud ghas ki jhil mein Dub jae
Meri sans ka silsila
Yun na TuTe ki ek tund jhonke ke manind uDti hui umr meri
Kisi band ujDe hue shahr mein dafatan KHud ko pae
Bhayanak KHamoshi ka ek Dolta qahqaha
Us ki rag rag mein utre to wo baukhlae
Qataron mein leTi hui murda galiyon mein bhaTke
Makanon mein utre munDeron pe aae
Siyah chhoTi inTon ki farsuda diwar ko apni poron se chhu kar
Koi dar DhunDe koi rah mange
Achanak kisi sard khambe ki be-nur aankhon se jhanke
BaDe karb se giDgiDae
KHudara koi mujh ko bahar nikalne ka rasta batae
KHudara koi mujh ko bahar nikalne ka rasta batae