pattharon ki qaid men ik aabjuu

Wazir Agha

Pattharon kee qaid men ik aabjoo Be-karaan niilaa samundar chaar soo Reza reza ho gaya hoon main agar Chuur wo bhee ho chukaa hai moo-ba-moo Yaad kaa be-naam saa ab lams aur Mere andar mushk-boo hee mushk-boo ODh len ab raat kee ThanDak tamaam Hai isee men teree meree aabroo Kaun thaa jis ne mujhe tanhaa kiyaa Chheen kar mujh se tumhaaree aarzoo Kyaa nazar aaya hai tujh ko abr men Kyon huaa hai is qadar beemaar too Phuul kee rekhaa men us ne dekh kar Kheench dee tasveer meree hoo-ba-hoo Phuul khushboo rang kaaghaz aur main Ho rahi hai be-sadaa ik guftugoo Aks-andar-aks main aa.uun nazar Too agar aa jaa.e mere roo-ba-roo Pattharon ki qaid mein ek aabju Be-karan nila samundar chaar su Reza reza ho gaya hun main agar Chur wo bhi ho chuka hai mu-ba-mu Yaad ka be-nam sa ab lams aur Mere andar mushk-bu hi mushk-bu ODh len ab raat ki ThanDak tamam Hai isi mein teri meri aabru Kaun tha jis ne mujhe tanha kiya Chhin kar mujh se tumhaari aarzu Kya nazar aaya hai tujh ko abr mein Kyon hua hai is qadar bimar tu Phul ki rekha mein us ne dekh kar Khinch di taswir meri hu-ba-hu Phul KHushbu rang kaghaz aur main Ho rahi hai be-sada ek guftugu Aks-andar-aks main aaun nazar Tu agar aa jae mere ru-ba-ru