rang aur ruup se jo baalaa hai

Wazir Agha

Rang aur ruup se jo baalaa hai Kis qayaamat ke naqsh vaalaa hai Chaap ubhree hai dil ke andar se Koee palkon pe aane vaalaa hai Zindagee hai lahoo kaa ik chheenTaa Umr zakhmon kee deep-maalaa hai Tol saktaa hai kaun khushboo ko Phir bhee ham ne ye rog paalaa hai Kitnaa aabaad hai ghanaa jangal Kaisaa sunsaan ye shivaalaa hai Dekh is teree chaandnee-shab ne Kitne taaron ko raund Daalaa hai Kapkapaane lage hain lab us ke Jaane kya baat karne vaalaa hai Rang aur rup se jo baala hai Kis qayamat ke naqsh wala hai Chap ubhri hai dil ke andar se Koi palkon pe aane wala hai Zindagi hai lahu ka ek chhinTa Umr zaKHmon ki dip-mala hai Tol sakta hai kaun KHushbu ko Phir bhi hum ne ye rog pala hai Kitna aabaad hai ghana jangal Kaisa sunsan ye shiwala hai Dekh is teri chandni-shab ne Kitne taron ko raund Dala hai Kapkapane lage hain lab us ke Jaane kya baat karne wala hai