reza reza kar jaataa hai
— Wazir Agha
Lamhon ke rezon kee
Halkee baarish men
Sab kitne khush khush phirte hain
In khush khush phirne vaalon ko
Ye kaun bataa.e
Kaise nazar na aane vaale reze
Lamhon ke
Jab juD jaate hain
Ek pahaaD saa bhaaree lamha ban jaate hain
Jo chupke se apnee lambee aur chamkeelee
Dum lahraataa aa jaataa hai
Sar par dham se aa girtaa hai
Reza reza kar jaataa hai!!
Lamhon ke rezon ki
Halki barish mein
Sab kitne KHush KHush phirte hain
In KHush KHush phirne walon ko
Ye kaun batae
Kaise nazar na aane wale reze
Lamhon ke
Jab juD jate hain
Ek pahaD sa bhaari lamha ban jate hain
Jo chupke se apni lambi aur chamkili
Dum lahraata aa jata hai
Sar par dham se aa girta hai
Reza reza kar jata hai!!