safar

Wazir Agha

Thakaa haaraa be-jaan baadal kaa TukDaa Darakhton chaTaanon se daaman bachaataa PahaaDee ke kohaan se neeche utraa Bahut thak chukaa thaa Hazaaron baras kee masaafat Hazaaron baras tak bas ik dhan musallat BaDhe aage baDh kar PahaaDon darakhton nukeelee chaTaanon Havaa kee nihattee sisaktee huee Karb men Duubee cheekhon ko MuTThee men le kar masal kar BaDee saadgee se hanse muskuraa.e Vo dhun ab kahaan hai Vo nannhee see ma.asoom see muskuraahaT Khameeda labon se phisal kar Haseen os ke shokh qatre ke maanind Ab khaak par gir chukee hai Thakaa haaraa be-jaan baadal kaa TukDaa Darakhton chaTaanon se daaman bachaataa PahaaDee ke kohaan se dam ba dam Gahre pur-haul khaD men agar jaa raha hai To kya hai Ye baadal kaa TukDaa bahut thak chukaa hai Bahut thak chukaa hai Thaka haara be-jaan baadal ka TukDa DaraKHton chaTanon se daman bachata PahaDi ke kohan se niche utra Bahut thak chuka tha Hazaron baras ki masafat Hazaron baras tak bas ek dhan musallat BaDhe aage baDh kar PahaDon daraKHton nukili chaTanon Hawa ki nihatti sisakti hui Karb mein Dubi chiKHon ko MuTThi mein le kar masal kar BaDi sadgi se hanse muskurae Wo dhun ab kahan hai Wo nannhi si masum si muskurahaT KHamida labon se phisal kar Hasin os ke shoKH qatre ke manind Ab KHak par gir chuki hai Thaka haara be-jaan baadal ka TukDa DaraKHton chaTanon se daman bachata PahaDi ke kohan se dam ba dam Gahre pur-haul khaD mein agar ja raha hai To kya hai Ye baadal ka TukDa bahut thak chuka hai Bahut thak chuka hai