sahar ne aa kar mujhe sulaayaa to main ne jaanaa
— Wazir Agha
Sahar ne aa kar mujhe sulaayaa to main ne jaanaa
Phir ek sapnaa mujhe dikhaayaa to main ne jaanaa
Ba-juz havaa ab rukegaa koi na paas mere
Andheree shab men diyaa bujhaayaa to main ne jaanaa
Gayaa ye kah kar ki ek shab kee hai baat saaree
Magar wo jab lauT kar na aayaa to main ne jaanaa
Main ek tinkaa rukaa khaDaa thaa nadee kinaare
Nadee ne bahnaa mujhe sikhaayaa to main ne jaanaa
Siyaah baadal men barq kaundee to sab ne dekhaa
Tiree hansee ne mujhe rulaayaa to main ne jaanaa
Main oDh kar khud ko so gaya thaa ki be-khatar thaa
Koee parinda jo phaDphaDaayaa to main ne jaanaa
Mire hee siine men sakht patthar see shai hai koi
Jo aaj too ne mujhe bataayaa to main ne jaanaa
Main teree nazron se gir chukaa thaa magar jo too ne
Miree nazar se mujhe giraayaa to main ne jaanaa
Havaa men shaamil thee tishnagee us ke tan-badan kee
Havaa ne meraa badan jalaayaa to main ne jaanaa
Sahar ne aa kar mujhe sulaya to main ne jaana
Phir ek sapna mujhe dikhaya to main ne jaana
Ba-juz hawa ab rukega koi na pas mere
Andheri shab mein diya bujhaya to main ne jaana
Gaya ye kah kar ki ek shab ki hai baat sari
Magar wo jab lauT kar na aaya to main ne jaana
Main ek tinka ruka khaDa tha nadi kinare
Nadi ne bahna mujhe sikhaya to main ne jaana
Siyah baadal mein barq kaundi to sab ne dekha
Teri hansi ne mujhe rulaya to main ne jaana
Main oDh kar KHud ko so gaya tha ki be-KHatar tha
Koi parinda jo phaDphaDaya to main ne jaana
Mere hi sine mein saKHt patthar si shai hai koi
Jo aaj tu ne mujhe bataya to main ne jaana
Main teri nazron se gir chuka tha magar jo tu ne
Meri nazar se mujhe giraya to main ne jaana
Hawa mein shamil thi tishnagi us ke tan-badan ki
Hawa ne mera badan jalaya to main ne jaana