sakta
— Wazir Agha
Agar wo marhala aa.e
Havaa jab saans lenaa bhuul jaa.e
Musaafir chalte chalte ruk paDe soche
Mujhe ab kaun see manzil ko jaanaa hai
Parinda aasmaan par
Daa.era-dar-daa.era uDtaa
Safedee ke mahaa-girdaab ke andar utar jaa.e
Mundee aankhon men jab
Khvaabon kaa ik mauj-e-saagar
Ret kee shiknon men Dhal kar
Ret ho jaa.e
Agar wo marhala aa.e
To tum apnee nazar kee siidh men takte chale jaanaa
Faqat takte chale jaanaa
Usee maanjhe kee piilee Dor kee jaanib
Jo apnee ibtidaa aur intihaa ke
Darmiyaan
Ik aakhiree imkaan ban kar rah ga.ee hai
Agar wo marhala aae
Hawa jab sans lena bhul jae
Musafir chalte chalte ruk paDe soche
Mujhe ab kaun si manzil ko jaana hai
Parinda aasman par
Daera-dar-daera uDta
Safedi ke maha-girdab ke andar utar jae
Mundi aankhon mein jab
KHwabon ka ek mauj-e-sagar
Ret ki shiknon mein Dhal kar
Ret ho jae
Agar wo marhala aae
To tum apni nazar ki sidh mein takte chale jaana
Faqat takte chale jaana
Usi manjhe ki pili Dor ki jaanib
Jo apni ibtida aur intiha ke
Darmiyan
Ek aaKHiri imkan ban kar rah gai hai