sikhaa diyaa hai zamaane ne be basar rahnaa
— Wazir Agha
Sikhaa diyaa hai zamaane ne be-basar rahnaa
Khabar kee aanch men jal kar bhee be-khabar rahnaa
Sahar kee os se kahnaa ki ek pal to ruke
Ki naa-pasand hai ham ko bhee khaak par rahnaa
Tamaam umr hee guzree hai dastaken sunte
Hamen to raas na aayaa khud apne ghar rahnaa
Vo khush-kalaam hai aisa ki us ke paas hamen
Taveel rahnaa bhee lagtaa hai mukhtasar rahnaa
Safar aziiz havaa ko magar aziiz hamen
Misaal-e-nik.hat-e-gul us kaa ham-safar rahnaa
Shajar pe phuul to aate rahe bahut lekin
Samajh men aa na sakaa us kaa be-samar rahnaa
Ajiib tarz-e-takallum hai us kee aankhon kaa
Khamosh rah ke bhee lafzon kee dhaar par rahnaa
Varaq varaq na sahee umr-e-raa.egaan meree
Havaa ke saath magar tum na umr bhar rahnaa
Zaraa see Thes lagee aur ghar ko oDh liyaa
Kahaan gaya wo tumhaaraa nagar nagar rahnaa
Sikha diya hai zamane ne be-basar rahna
KHabar ki aanch mein jal kar bhi be-KHabar rahna
Sahar ki os se kahna ki ek pal to ruke
Ki na-pasand hai hum ko bhi KHak par rahna
Tamam umr hi guzri hai dastaken sunte
Hamein to ras na aaya KHud apne ghar rahna
Wo KHush-kalam hai aisa ki us ke pas hamein
Tawil rahna bhi lagta hai muKHtasar rahna
Safar aziz hawa ko magar aziz hamein
Misal-e-nikhat-e-gul us ka ham-safar rahna
Shajar pe phul to aate rahe bahut lekin
Samajh mein aa na saka us ka be-samar rahna
Ajib tarz-e-takallum hai us ki aankhon ka
KHamosh rah ke bhi lafzon ki dhaar par rahna
Waraq waraq na sahi umr-e-raegan meri
Hawa ke sath magar tum na umr bhar rahna
Zara si Thes lagi aur ghar ko oDh liya
Kahan gaya wo tumhaara nagar nagar rahna