suno ujdaa makaan ik bad duaa hai
— Wazir Agha
Suno ujDaa makaan ik bad-duaa hai
Sadaa andar sadaa andar sadaa hai
Khizaan ik gham-zada beemaar aurat
Havaa ne chheen lee jis kee ridaa hai
Sitaara jal-bujhaa mukhtaar thaa wo
Diyaa majboor thaa jaltaa raha hai
Sar-e-mizhgaan ubhar aanaa thaa jis ko
Kahaan wo mehrbaan taaraa gaya hai
Ugee hain chaar soo baaten hee baaten
Ajab see har taraf awaaz-e-paa hai
Havaa us ko uDaa le jaa kaheen too
Ye baadal apne par phailaa raha hai
Hai uryaanee to aadat chaandnee kee
Andheraa be-sabab sharmaa raha hai
Sitaaron aur sharaaron men Thanee hai
Mohabbat kee magar ye bhee adaa hai
Ye kaisee aankh thee jo ro paDee hai
Ye kaisaa khvaab thaa jo bujh gaya hai
Havaa ab chal paDee hai teree jaanib
Havaa ko baadbaan raas aa gaya hai
Jo dil men phaans thee so rah ga.ee hai
Yahaan varna sabhee Kuch ho gaya hai
Suno ujDa makan ek bad-dua hai
Sada andar sada andar sada hai
KHizan ek gham-zada bimar aurat
Hawa ne chhin li jis ki rida hai
Sitara jal-bujha muKHtar tha wo
Diya majbur tha jalta raha hai
Sar-e-mizhgan ubhar aana tha jis ko
Kahan wo mehrban tara gaya hai
Ugi hain chaar su baaten hi baaten
Ajab si har taraf aawaz-e-pa hai
Hawa us ko uDa le ja kahin tu
Ye baadal apne par phaila raha hai
Hai uryani to aadat chandni ki
Andhera be-sabab sharma raha hai
Sitaron aur shararon mein Thani hai
Mohabbat ki magar ye bhi ada hai
Ye kaisi aankh thi jo ro paDi hai
Ye kaisa KHwab tha jo bujh gaya hai
Hawa ab chal paDi hai teri jaanib
Hawa ko baadban ras aa gaya hai
Jo dil mein phans thi so rah gai hai
Yahan warna sabhi Kuch ho gaya hai