thii niind meri magar us men khvaab us kaa thaa

Wazir Agha

Thee niind meree magar us men khvaab us kaa thaa Badan miraa thaa badan men azaab us kaa thaa Safeene chand khushee ke zaroor apne the Magar wo sail-e-gham-e-be-hisaab us kaa thaa Diye bujhe to havaa ko kiyaa gaya badnaam Qusoor ham ne kiyaa ehtisaab us kaa thaa Ye kis hisaab se kee too ne raushnee taqseem Sitaare mujh ko mile maahtaab us kaa thaa Falak pe kirchiyaan aankhon men motiyaa aansoo Jo reza reza huaa aaftaab us kaa thaa Miree zaraa see chamak ko kaDak ne Tok diyaa Savaal tujh se kiyaa thaa javaab us kaa thaa Khulee kitaab thee phoolon-bharee zameen meree Kitaab meree thee rang-e-kitaab us kaa thaa Thi nind meri magar us mein KHwab us ka tha Badan mera tha badan mein azab us ka tha Safine chand KHushi ke zarur apne the Magar wo sail-e-gham-e-be-hisab us ka tha Diye bujhe to hawa ko kiya gaya badnam Qusur hum ne kiya ehtisab us ka tha Ye kis hisab se ki tu ne raushni taqsim Sitare mujh ko mile mahtab us ka tha Falak pe kirchiyan aankhon mein motiya aansu Jo reza reza hua aaftab us ka tha Meri zara si chamak ko kaDak ne Tok diya Sawal tujh se kiya tha jawab us ka tha Khuli kitab thi phulon-bhari zamin meri Kitab meri thi rang-e-kitab us ka tha