tiraa hi ruup nazar aae jaa ba jaa mujh ko
— Wazir Agha
Tiraa hee ruup nazar aa.e jaa-ba-jaa mujh ko
Jo ho sake ye tamaashaa na too dikhaa mujh ko
Kabhee to koi falak se utar ke paas aa.e
Kabhee to Dasne se baaz aa.e faasla mujh ko
Talaash karte ho phoolon men kaise paagal ho
UDaa ke le bhee ga.ee sub.h kee havaa mujh ko
Kise khabar ki sadaa kis taraf se aa.egee
Kahaan se aa ke uThaa.egaa qaafila mujh ko
Miraa hee naqsh-e-qadam thaa mire ta.aaqub men
Vagarna laakh bulaatee tiree sadaa mujh ko
SameTtaa raha khud ko main umr-bhar lekin
Bikhertaa raha shabnam kaa silsila mujh ko
Ghulee jo raat kee khushboo to saazishee jaage
Dahaktee aankhon ne ghere men le liyaa mujh ko
Thahar sakee na agar chaandnee to kya gham hai
Yahee bahut hai ki too yaad aa gaya mujh ko
Tera hi rup nazar aae ja-ba-ja mujh ko
Jo ho sake ye tamasha na tu dikha mujh ko
Kabhi to koi falak se utar ke pas aae
Kabhi to Dasne se baz aae fasla mujh ko
Talash karte ho phulon mein kaise pagal ho
UDa ke le bhi gai subh ki hawa mujh ko
Kise KHabar ki sada kis taraf se aaegi
Kahan se aa ke uThaega qafila mujh ko
Mera hi naqsh-e-qadam tha mere taaqub mein
Wagarna lakh bulati teri sada mujh ko
SameTta raha KHud ko main umr-bhar lekin
Bikherta raha shabnam ka silsila mujh ko
Ghuli jo raat ki KHushbu to sazishi jage
Dahakti aankhon ne ghere mein le liya mujh ko
Thahar saki na agar chandni to kya gham hai
Yahi bahut hai ki tu yaad aa gaya mujh ko