tum jo aate ho

Wazir Agha

Tum jo aate ho To Kuch bhee nahin rahtaa maujood Tum chale jaate ho Aur bolne lagte hain tamaam Adh-khile phuul Samaa.at pe jamee chaap havaa band makaan Guftugoo karne ke aasan men ruke sab ajsaam Murda lamhaat kaa ik Dher pahaaD Abr kee qaash uThee mauj kaa saakit andaam Barf lab palkon pe Taanke hue motee aansoo Aur sile kaanon men awaaz kee sooiyaan be-jaan Yak-ba-yak bolne lagte hain tamaam Zindagee bunne men ho jaatee hai phir se masroof Vaqt ho jaataa hai phir khaak-ba-sar be-aaraam Ek panchi jise Udhte chale jaanaa hai khuda jaane kahaan Aur main tinkon ke bikhre hue bistar kee tarah Muntazir lauT ke tum aao kisee roz yahaan Phir hon ik baar muattal Ye zameen aur zamaan Tum jo aate ho To Kuch bhi nahin rehta maujud Tum chale jate ho Aur bolne lagte hain tamam Adh-khile phul Samaat pe jami chap hawa band makan Guftugu karne ke aasan mein ruke sab ajsam Murda lamhat ka ek Dher pahaD Abr ki qash uThi mauj ka sakit andam Barf lab palkon pe Tanke hue moti aansu Aur sile kanon mein aawaz ki suiyan be-jaan Yak-ba-yak bolne lagte hain tamam Zindagi bunne mein ho jati hai phir se masruf Waqt ho jata hai phir KHak-ba-sar be-aram Ek panchhi jise Udhte chale jaana hai KHuda jaane kahan Aur main tinkon ke bikhre hue bistar ki tarah Muntazir lauT ke tum aao kisi roz yahan Phir hon ek bar muattal Ye zamin aur zaman