tumhen khabar bhi na milii aur ham shikasta haal
— Wazir Agha
Tumhen khabar bhee na milee aur ham shikasta-haal
Tumhaare qadmon kee aandhee men ho ga.e paamaal
Tire badan kee mahak ne sulaa diyaa thaa magar
Havaa kaa andhaa musaafir chalaa anokhee chaal
Vo ek nuur kaa sailaab thaa ki usee kaa safar
Vo ek nuqta-e-mauhoom thaa ki ye bad-haal
Ajiib rang men vaarid huee khizaan ab ke
Damakte honT sulagtee nazar dahakte gaal
Tire karam kee to har soo mahaktee barkhaa thee
Hameen the jin ko huaa bheegaa pairahan bhee vabaal
Tumhein KHabar bhi na mili aur hum shikasta-haal
Tumhaare qadmon ki aandhi mein ho gae pamal
Tere badan ki mahak ne sula diya tha magar
Hawa ka andha musafir chala anokhi chaal
Wo ek nur ka sailab tha ki usi ka safar
Wo ek nuqta-e-mauhum tha ki ye bad-haal
Ajib rang mein warid hui KHizan ab ke
Damakte honT sulagti nazar dahakte gal
Tere karam ki to har su mahakti barkha thi
Hamin the jin ko hua bhiga pairahan bhi wabaal