umr ki is naav kaa chalnaa bhi kya ruknaa bhi kya

Wazir Agha

Umr kee is naav kaa chalnaa bhee kya ruknaa bhee kya Kirmak-e-shab hoon miraa jalnaa bhee kya bujhnaa bhee kya Ik nazar us chashm-e-tar kaa meree jaanib dekhnaa Aab-shaar-e-noor kaa phir khaak par girnaa bhee kya Zakhm kaa lagnaa hamen darkaar thaa so is ke ba.ad Zakhm kaa risnaa bhee kya aur zakhm kaa bharnaa bhee kya Tere ghar tak aa chukee hai duur ke jangal kee aag Ab tiraa is aag se Darnaa bhee kya laDnaa bhee kya Dar dareeche vaa magar baazaar-e-galiyaan mohr-band Aise zaalim shahr men jiinaa bhee kya marnaa bhee kya Tujh se ai sang-e-sadaa is reza reza daur men Ik zaraa se dil kee khaatir dostee karnaa bhee kya Umr ki is naw ka chalna bhi kya rukna bhi kya Kirmak-e-shab hun mera jalna bhi kya bujhna bhi kya Ek nazar us chashm-e-tar ka meri jaanib dekhna Aab-shaar-e-nur ka phir KHak par girna bhi kya ZaKHm ka lagna hamein darkar tha so is ke baad ZaKHm ka risna bhi kya aur zaKHm ka bharna bhi kya Tere ghar tak aa chuki hai dur ke jangal ki aag Ab tera is aag se Darna bhi kya laDna bhi kya Dar dariche wa magar bazar-e-galiyan mohr-band Aise zalim shahr mein jina bhi kya marna bhi kya Tujh se ai sang-e-sada is reza reza daur mein Ek zara se dil ki KHatir dosti karna bhi kya