wo parinda hai kahaan shab ko chahakne vaalaa
— Wazir Agha
Wo parinda hai kahaan shab ko chahakne vaalaa
Raat-bhar naafa-e-gul ban ke mahakne vaalaa
Lukka-e-abr thaa bas dekhne aayaa thaa mujhe
Koee baadal to nahin thaa wo chhalakne vaalaa
Raakh men aankh men phoolon pe kaseelee shab men
Be-zaroorat bhee to chamkaa hai chamakne vaalaa
Kis kee awaaz men hai TooTte patton kee sadaa
Kaun is rut men hai be-vaj.h sisakne vaalaa
Chaand ho roz badalte ho tumhaaraa kya hai
Main samundar hoon abad tak na bahakne vaalaa
Pee liyaa lauT gaya khushk huaa Kuch to bataa
Kyaa huaa aankh se aansoo wo Tapakne vaalaa
Wo parinda hai kahan shab ko chahakne wala
Raat-bhar nafa-e-gul ban ke mahakne wala
Lukka-e-abr tha bas dekhne aaya tha mujhe
Koi baadal to nahin tha wo chhalakne wala
Rakh mein aankh mein phulon pe kasili shab mein
Be-zarurat bhi to chamka hai chamakne wala
Kis ki aawaz mein hai TuTte patton ki sada
Kaun is rut mein hai be-wajh sisakne wala
Chand ho roz badalte ho tumhaara kya hai
Main samundar hun abad tak na bahakne wala
Pi liya lauT gaya KHushk hua Kuch to bata
Kya hua aankh se aansu wo Tapakne wala