aag kaa rishta nikal aae koi paanii ke saath
— Zafar Iqbal
Aag kaa rishta nikal aa.e koi paanee ke saath
Zinda rah saktaa hoon aisi hee khush-imkaanee ke saath
Tum hee batlaao ki us kee qadr kya hogee tumhen
Jo mohabbat muft men mil jaa.e aasaanee ke saath
Baat hai Kuch zinda rah jaanaa bhee apna aaj tak
Lahar thee aasoodgee kee bhee pareshaanee ke saath
Chal raha hai kaam sara khuub mil-jul kar yahaan
Kufr bhee chimTaa huaa hai jazb-e-eemaanee ke saath
Farq paDtaa hai koi logon men rehne se zaroor
Shahr ke aadaab the apnee bayaabaanee ke saath
Ye wo Dunya hai ki jis kaa Kuch Thikaanaa hee nahin
Ham guzaara kar rahe hain dushman-e-jaanee ke saath
Raa.egaanee se zaraa aage nikal aa.e hain ham
Is dafa to Kuch giraanee bhee hai arzaanee ke saath
Apnee marzee se bhee ham ne kaam kar Daale hain Kuch
Lafz ko laDvaa diyaa hai beshtar ma.anee ke saath
Faaslon hee faaslon men jaan se haaraa 'zafar'
Ishq thaa laahoriye ko ek multaanee ke saath
Aag ka rishta nikal aae koi pani ke sath
Zinda rah sakta hun aisi hi KHush-imkani ke sath
Tum hi batlao ki us ki qadr kya hogi tumhein
Jo mohabbat muft mein mil jae aasani ke sath
Baat hai Kuch zinda rah jaana bhi apna aaj tak
Lahar thi aasudgi ki bhi pareshani ke sath
Chal raha hai kaam sara KHub mil-jul kar yahan
Kufr bhi chimTa hua hai jazb-e-imani ke sath
Farq paDta hai koi logon mein rehne se zarur
Shahr ke aadab the apni bayabani ke sath
Ye wo duniya hai ki jis ka Kuch Thikana hi nahin
Hum guzara kar rahe hain dushman-e-jaani ke sath
Raegani se zara aage nikal aae hain hum
Is dafa to Kuch girani bhi hai arzani ke sath
Apni marzi se bhi hum ne kaam kar Dale hain Kuch
Lafz ko laDwa diya hai beshtar mani ke sath
Faslon hi faslon mein jaan se haara 'zafar'
Ishq tha lahoriye ko ek multani ke sath