Abhi to karnaa padegaa safar dobaara mujhe
— Zafar Iqbal
Abhee to karnaa paDegaa safar dobaara mujhe
Abhee karen nahin aaraam kaa ishaara mujhe
Lahoo men aa.egaa toofaan-e-tund raat-ba-raat
Karegee mauj-e-balaa-khez paara-paara mujhe
Bujhaa nahin mire andar kaa aaftaab abhee
Jalaa ke khaak karegaa yahee sharaara mujhe
Utaar phenktaa main bhee ye taar-taar badan
Aseer-e-khaak hoon karnaa paDaa guzaara mujhe
UDe wo gard ki main chaar-soo bikhar jaaon
Ghubaar men nazar aa.e na koi chaara mujhe
Mire hudood men hai mere aas-paas kee dhund
Rahaa ye shahr to is kaa nahin ijaara mujhe
Sahar huee to bahut der tak dikhaa.ee diyaa
Ghuroob hotee huee raat kaa kinaara mujhe
Miree fazaa men hai tarteeb-e-kaa.enaat Kuch aur
Ajab nahin jo tiraa chaand hai sitaara mujhe
Na chhoo sakoon jise kya us kaa dekhnaa bhee 'zafar'
Bhalaa lagaa na kabhi duur kaa nazaara mujhe
Abhi to karna paDega safar dobara mujhe
Abhi karen nahin aaram ka ishaara mujhe
Lahu mein aaega tufan-e-tund raat-ba-raat
Karegi mauj-e-bala-KHez para-para mujhe
Bujha nahin mere andar ka aaftab abhi
Jala ke KHak karega yahi sharara mujhe
Utar phenkta main bhi ye tar-tar badan
Asir-e-KHak hun karna paDa guzara mujhe
UDe wo gard ki main chaar-su bikhar jaun
Ghubar mein nazar aae na koi chaara mujhe
Mere hudud mein hai mere aas-pas ki dhund
Raha ye shahr to is ka nahin ijara mujhe
Sahar hui to bahut der tak dikhai diya
Ghurub hoti hui raat ka kinara mujhe
Meri faza mein hai tartib-e-kaenat Kuch aur
Ajab nahin jo tera chand hai sitara mujhe
Na chhu sakun jise kya us ka dekhna bhi 'zafar'
Bhala laga na kabhi dur ka nazara mujhe