agar is khel men ab wo bhi shaamil hone vaalaa hai
— Zafar Iqbal
Agar is khel men ab wo bhee shaamil hone vaalaa hai
To apna kaam pahle se bhee mushkil hone vaalaa hai
Havaa shaakhon men rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
Guzarte baadalon men chaand haa.il hone vaalaa hai
Asar ab aur kya honaa thaa us jaan-e-taghaaful par
Jo pahle besh o kam thaa wo bhee zaa.il hone vaalaa hai
Ziyaada naaz ab kya keejiye josh-e-javaanee par
Ki ye toofaan bhee rafta rafta saahil hone vaalaa hai
Hameen se koi koshish ho na paa.ee kaargar varna
Har ik naaqis yahaan kaa peer-e-kaamil hone vaalaa hai
Haqeeqat men bahut Kuch khone vaale hain ye saada-dil
Jo ye samjhe hue hain un ko haasil hone vaalaa hai
Hamaare haal-maston ko khabar hone se pahle hee
Yahaan par aur hee Kuch rang-e-mahfil hone vaalaa hai
Chalo is marhale par hee koi tadbeer kar dekho
Vagarna shahr men paanee to daakhil hone vaalaa hai
'zafar' Kuch aur hee ab sho.abada dikhlaa.iye varna
Ye daavaa-e-sukhan-daanee to baatil hone vaalaa hai
Agar is khel mein ab wo bhi shamil hone wala hai
To apna kaam pahle se bhi mushkil hone wala hai
Hawa shaKHon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
Guzarte baadalon mein chand hail hone wala hai
Asar ab aur kya hona tha us jaan-e-taghaful par
Jo pahle besh o kam tha wo bhi zail hone wala hai
Ziyaada naz ab kya kijiye josh-e-jawani par
Ki ye tufan bhi rafta rafta sahil hone wala hai
Hamin se koi koshish ho na pai kargar warna
Har ek naqis yahan ka pir-e-kaamil hone wala hai
Haqiqat mein bahut Kuch khone wale hain ye sada-dil
Jo ye samjhe hue hain un ko hasil hone wala hai
Hamare haal-maston ko KHabar hone se pahle hi
Yahan par aur hi Kuch rang-e-mahfil hone wala hai
Chalo is marhale par hi koi tadbir kar dekho
Wagarna shahr mein pani to daKHil hone wala hai
'zafar' Kuch aur hi ab shoabada dikhlaiye warna
Ye dawa-e-suKHan-dani to baatil hone wala hai