ba zaahir sehat Acchi hai jo biimaarii ziyaada hai
— Zafar Iqbal
Ba-zaahir sehat achchhee hai jo beemaaree ziyaada hai
Isee khaatir buDhaape men havas-kaaree ziyaada hai
Chale gaa kis tarah se kaarobaar-e-shauq is soorat
Rasad Kuch bhee nahin hai aur talabgaaree ziyaada hai
Mohabbat kaam hai jis tarah kaa bas dekhte jaao
Rukaa rahtaa bhee hai aksar magar jaaree ziyaada hai
Hamen khud bhee yaqeen aataa nahin is kaa jo ye ham par
Giraan-baaree kee nisbat se subuk-saaree ziyaada hai
Suraagh is kaa kaheen andar to Kuch miltaa nahin be-shak
Ye haalat wo hai jo ham par abhee taaree ziyaada hai
UThaa sakte nahin jab chuum kar hee chhoDnaa achchhaa
Mohabbat kaa ye patthar is daf.a bhaaree ziyaada hai
Hifaazat hee hamaaraa mas.ala thaa roz-e-avval se
So apne ird-gird ab chaar-deevaaree ziyaada hai
Imaarat ye mukammal hone vaalee hee nahin lagtee
Ki is ta.ameer men Kuch rang-e-mismaaree ziyaada hai
Zarooree ho to kar denge 'zafar' tardeed bhee jaaree
Bayaan-e-ishq apna ab ke akhbaaree ziyaada hai
Ba-zahir sehat achchhi hai jo bimari ziyaada hai
Isi KHatir buDhape mein hawas-kari ziyaada hai
Chale ga kis tarah se karobar-e-shauq is surat
Rasad Kuch bhi nahin hai aur talabgari ziyaada hai
Mohabbat kaam hai jis tarah ka bas dekhte jao
Ruka rehta bhi hai aksar magar jari ziyaada hai
Hamein KHud bhi yaqin aata nahin is ka jo ye hum par
Giran-bari ki nisbat se subuk-sari ziyaada hai
Suragh is ka kahin andar to Kuch milta nahin be-shak
Ye haalat wo hai jo hum par abhi tari ziyaada hai
UTha sakte nahin jab chum kar hi chhoDna achchha
Mohabbat ka ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai
Hifazat hi hamara masala tha roz-e-awwal se
So apne ird-gird ab chaar-diwari ziyaada hai
Imarat ye mukammal hone wali hi nahin lagti
Ki is tamir mein Kuch rang-e-mismari ziyaada hai
Zaruri ho to kar denge 'zafar' tardid bhi jari
Bayan-e-ishq apna ab ke aKHbari ziyaada hai