baat aisii bhi koi nahin ki mohabbat bahut ziyaada hai
— Zafar Iqbal
Baat aisi bhee koi nahin ki mohabbat bahut ziyaada hai
Lekin ham donon se us kee taaqat bahut ziyaada hai
Aap ke peechhe peechhe phirne se to rahe is 'umr men ham
Raah pe aa baiThe hain ye bhee ghaneemat bahut ziyaada hai
'ishq udaasee ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
Lekin ham ko khush rehne kee 'aadat bahut ziyaada hai
Kaam to kaafee rahtaa hai lekin karnaa hai kis ne yahaan
Be-shak roz idhar aa niklo fursat bahut ziyaada hai
Kyaa Kuch ho na sakaa ham se aur hone vaalaa hai kya Kuch
Hasrat bhee kaafee hai lekin hairat bahut ziyaada hai
Sair hee karke aa jaa.enge phir baazaar-e-tamaashaa kee
Jis shai ko bhee haath lagaa.en qeemat bahut ziyaada hai
Us kee tavajjoh haasil kee aur biich men sab Kuch chhoD diyaa
Hikmat jitnee bhee ho is men himaaqat bahut zyaada hai
'ishq hai kis ko yaad ki ham to Darte hee rahte hain sadaa
Husn wo jaisaa bhee hai us kee dahshat bahut zyaada hai
Ek chiiz jo apnee rasaa.ee se baahar hai kaheen 'zafar'
Sach poochho to is kee hamen zaroorat bahut zyaada hai
Baat aisi bhi koi nahin ki mohabbat bahut ziyaada hai
Lekin hum donon se us ki taqat bahut ziyaada hai
Aap ke pichhe pichhe phirne se to rahe is 'umr mein hum
Rah pe aa baiThe hain ye bhi ghanimat bahut ziyaada hai
'ishq udasi ke paigham to lata rehta hai din raat
Lekin hum ko KHush rehne ki 'adat bahut ziyaada hai
Kaam to kafi rehta hai lekin karna hai kis ne yahan
Be-shak roz idhar aa niklo fursat bahut ziyaada hai
Kya Kuch ho na saka hum se aur hone wala hai kya Kuch
Hasrat bhi kafi hai lekin hairat bahut ziyaada hai
Sair hi karke aa jaenge phir bazar-e-tamasha ki
Jis shai ko bhi hath lagaen qimat bahut ziyaada hai
Us ki tawajjoh hasil ki aur bich mein sab Kuch chhoD diya
Hikmat jitni bhi ho is mein himaqat bahut zyaada hai
'ishq hai kis ko yaad ki hum to Darte hi rahte hain sada
Husn wo jaisa bhi hai us ki dahshat bahut zyaada hai
Ek chiz jo apni rasai se bahar hai kahin 'zafar'
Sach puchho to is ki hamein zarurat bahut zyaada hai